Uk ki halat dek ke lag raha ki ab ae je ka Sapna bhul jao waha up mai ganju nai 2 time sdo ko vaccancy ka tender allot karna suru kar diya hai up mai vaccancy aa re hai bhai
Kya ye sahi hai ya reporter aur cm ne pheki hai
Court ne 2 month k andar decision lene ko bola tha ...ab toh 2 month se uppar ho gye.
Bhaiyon kisi ne gaur kiya kya ki uttrakhand mein pichle 8 saal se koi naukari nahi nikli hai engineering graduates ke liye.system hamara bevkoof bana raha hai.kaiyde se uttrakhand power corporation mein job nikalni thi lekin nahin nikli.hum logo ko kuch karna hoga varna job milni bahut mushkil hai
Uttrakhand walon kuch karo,naukari nikalni chahiye thi power corporation mein,kisi ko koi raasta pata hai kya ki kahan baat ki jaaye
Finally UPCL 2015 cancel. Case krne walo ka dhanywad hmare 2 zal brbad krne k liye
vacant post in upcl
UPCL
Mechanical walo ke liye AE ya JE ki koi vacancies aane ke chance hain kya???
Himachal ne change kardiya hain apna recruitment process hain .Ab waha JE ki every recruitment meh BTech wale bhi eligible honge . All Uttrakhand ke BTech walo Ko milke bhi ish andhi gungi government meh pressure dalna chaiye Warna JE ki 500-600 post meh jabh bhi ayegi hum sab eligible nahi honge . Let's unite please spread this message and awake this government to safeguat our rights. Jai Hind Jai Uttrakhand 😇
Hum Uttrakhand wale result ke time PE ready hojaye hain case karne Ko Par policy change Karane ko ready nahi hote Aao sab milke case karke government se Uttrakhand ke unemployment rate Ko dekhte huye BTech Ko bhi JE ki post keliye eligible karwaye 😇 Warna vacancy ane ke badh karenge toh delay hojayega exam bhi
uttarakhand mai civil electrical mechanical mai bht engineer graduates hain.... abhi civil ki vacancy aai hai je ki aur aage ee aur mech ki bh aayegi lekin sirf je ki.... je promotion leke amie se degree krke baad mai sdo ban jaate hain aur je ki starting salary 50+ hai... rajasthan je mai degree allowed... madhya pradesh je degree allowed...himanchal je degree allowed.. uttarakhand mai aisa kya ki yaha allowed nh hai... aise toh central chsl mai degree bhi eligible nh hona chaiye na fir... ab bh kuch krlei toh behtar hoga warna dekhte rahenge je lgte hue aur btech wale taiyari krte rhenge vacancy ka ata pata nahi... 😒
Ae aur je ka Adhiyachan aayog me aa gaya hai...rti daal do ....kitni post hai
Mechanical engg ki agle 3-4 months me kahin koi vacancy aane ke chances hain kya???
https://t.me/joinchat/H93zmFSaXhK_A6kzy5kCNw @civilengineering_mcq @civilengineering_mcq @civilengineering_mcq Next quiz 👇👇👇👇👇 Surveying & Transportation(18/07/2019) Timing 10:00 pm to 11:00pm Join for ssc je ,rrb je cbt2 , state je exams, state AE exams, @civilengineering_mcq @civilengineering_mcq @civilengineering_mcq @civilengineering_mcq
Bhai b.tech walo uk mai ham yesi padte rahenge ....Or je ka agar ukpsc je mai case karna h to mai rasta bata dunga apko karna kya h...
Iske baad b govt ne stay le liya qki diploma engineers ne sarkar se bola ki sirf diploma walo ke liye job ho JE ki Prr aaj BTECH wale almost sabhi berojgar hain or aisi halat m job milne se rhi. So aage aana hoga dosto abb
Uttrakhand ke students ke sath hi ye injustice q hai. Other sates m JE ke liye B.Tech wale bhi apply kr skte hain prr sirf apne UK m nahi. Aisa anyaay q BTech degree holders ke sath? And, AE ki vacancy aati kitni hain? Ayegi bhi to 100 post at max but JE ki 1000 tak b aa jati hain or usme firr bhi chance hai kuch hone ka atleast exam to de skate hain yaaro. Prr UK mai jabtak aap andolan nahi kroge to aapka kuch nahi ho skta. 2 saal se books chaat ke kuch nahi ho raha or usse hona bhi nahi agar job hi nhi ayegi ya chance hi nhi milega toh. So its a request to all Graduates and BTech or MTech degree holders ki apne liye ladai ladni hai abb. Varna itne saal se velle baithe hain books ke sath aage bhi vahi hoga or pakode talne ke paise nahi rahenge kuch wqt baad. Jo jo dehradun mai hai or jaha bhi hai Kindly apne apne tarike se aawaj uthaye or agar abhi chup reh gaye to firr samjh lo job lgne se rahi. Yaaaro Aaage Aaao,Abhi Nahi Toh Kabhi Nahi !!!
Ek cheez to 100 % sure hai uttarakhand me jobs ko lekar ke govt serious nhi hai yahan koi sa bhi exam lelo pichle 3 saal se yahan koi notification nhi aaya engineering me AE KE exam 5 saal me 1 baar aata hai pcs ka exam 4-5 saal ka process hai even group c jobs bhi ab nhi a rahi isse saaf saaf sabit hota hai uk me jobs ka sapna mat dekho. Govt ko koi fark nhi padta kyunki unko vote MODI ke liye milega hi milega aur ye apni marzi se aisa hi karenge. Inko pata hai agle election me bhi hum jeet jaayenge modi ke kaaran ab agar kuch karna hai to bhai hume hi karna padega. Tum log kisi bhi state ka dekhlo har saal vacancy nikalti hai chahe up haryana himachal mp rajesthan etc sirf uttarakhand me hi poltics bht jyada hai. Aur ek baat aur ab vaise bhi govt ka target contract jobs hai wo chahte hai kam paiso me outsource se bande uthao aur kaam karao kyu itni moti salary deni kyunki outsource par gareeb ladke 10k me bhi job karne ko tyaar hai to kyu 60000 rs ki salary de. Ab hume hi kuch karna padega bhaiyo